Wednesday 17 October 2012

kast kar door...

Abb meri khabar lo hey bnagwan, meri naav padi majhdhaar kast kar door. 2
Gaj ko laga kheechan jal me, grah fansaya kalbal me,
teir sunat uss gaj ki prabhu us neech ko mara pal bhar mein,
na der kiyo prabhu kar ke daya use jal se diya ubaar kast kar door.
giddha "Ajamil" agyani paap kiya tha manmani,
narayan bete ka naam le, mukti paya asaani,
sugana ko padhawat ganika tar gayi ho aisa kartaar kast kar door.
deeno ke tum data ho,jag palak nirmata ho,
deeno ke tum deen bandhu ho sabke bhagya vidhata ho,
ab humko sharan me rakh lijai yahi vinati h barambaar kast kar door.